Hum ek doosre ko mitaney ke liye kitne utsuk rehtey hain. Apni khushi se khush nahin lekin doosre ki khushi se dukhi jaroor hotey hain. Khud upar uth sakein ya nahin lekin doosre ko upar nahin uthne dengey. yeh hai kekda sanskiriti aur jahan bhi aisi sanskriti hai wahan kabhi vikas nahin ho sakta. Vichar karne yogy baat hai ki hum ekaant mein baithkar sochein....kya hai jo mujhe upar uthne nahin deta; apni kamjorion ko dekho aur unhein mitane ki koshish karo....sahi yojna banao aur khud ko uncha uthao . Saath hi samaj ka bhi kalyan socho. pujyavar
No comments:
Post a Comment